Say yes to "Vege" and forbid "Nonvege"

               
   Say yes to "Vege" and forbid "Nonvege"

      Nonvege veg se behtar hai ya vege Nonvege se, Is mudde per kai bar buddhijiviyon me vad-vivad hota rha hai. Kaun kisase behtar hai ye janne se pahle aaiye hum dono ki bhojan ke rup me bhumikaon ko jante hain.

Ek example ke taur per India ko lete hain. India ki mitti upjau hai, yhan Himalayi v Prayadwipiya Nadiya hain, Jo kheti ki drishti se bahut anukul hai. Isliye fertile mitti v sichai ke paryapt sadhan hone ke karan is desh me prachin kal se hi anaj ki achchi paidawar hoti aa rahi hai. Isliye yha ke logo ko bhojan ke liye pashuon per nirbhar nahi rahna pda hai. Isiliye yhan Gautam Buddh jaise santo ne kaha hai ki pashuhatya pap hai, un per daya karo.

Liken agar hum U.A.E. jaise registani khadi deshon ki bat karen to wahan ret ke siva kuch nahi hai. wahan pani bhi bahut mushkil se milta hai. Isliye wahan Nonvege ke alawa koi bhojan ka vikalp nahi hai. Agar hum jinda rahenge tab to dusaron per daya karenge. Isliye wahan aur aas-pas ke registani deshon me Nonvege hi jinda rahne ka ekmatra vikalp tha. Isliye nonvege ko bhojan ke rup me grahan karna unki majboori thi. Dhire-Dhire ye bhojan unki pratha ban gayi aur yah aaj unke aam jeevan ka hissa hai. Kuch log taste ke liye Nonvege ko pasand karte hain mai unki bat nahi karta.

Hame apne jeevan ko banaye rakhne ke liye kisi dusare jeevan ki awashyakta hoti hai. Ped-Paudhon me bhi jeevan hota hai, aur unhe khakar hum unka bhi jeevan chchinate hain. Jaise janwaron ko markar. Yahi jeevan ki prakriya hai.
Lekin yhan phark is bat ka padta hai ki jisko hum markar kha rahe hain uski samvedanshilata kitni hai, usme samajh ka star kitna hai. Jise hum amooman mental power kahte hain. Aise to mas khane walon me Aadamkhor bhi aate hai, lekin use bhojan nahi mana ja sakta. Jis jeevan ko markar aap apne jeevan ki raksha karte hain uski samvedanshilta yah decide karti hai ki wah jeevan apke liye kitna uchit hai.

Agar aap kisi uchch samvedanshil jeev ko khate hain to uska jeevan purn rup se aap ke jeevan ki raksha nahi karega, aur aap kisi na kisi bimari ka shikar ho jaoge. Hindu log cow(gay) ko mata mante hain aur uska bhojan kabhi nahi karte kyunki gay bhi ek sufficient intelligence wali jeev hai. Iske atirikt anya kai lagaon hone ke karan Hindu cow ko mata mante hain, use pavitra mante hain.

Isliye agar hame apne jeevan ko bachane ke liye kisi jeevan ko khana hi hai to uchit yahi hai ki hum kam se kam nirdayi bane aur kam se kam intelligence (samvedansheel) jeevan ko apna ahar banaye. Kyunki wahi bhojan hamare jeevanshakti ko shreshtha banakar hume dirghayu(lognlife) dega.
Thank You......



English Translation of this page-

Nowdays the debate in intelligence many times on this issue that Vege is better than Nonvege or Nonvege is better than Vege. Before knowing who is better, let's know the role of both of us as food.
On the form of an example India's soil is fertile, here is the Himalayas and the coastal rivers, which are very favorable to farming. It is therefore due to fertile soil and the help of these rivers, there is a good source of grain in this country right from ancient times. That is why the people here have not to depend on animals for food. That is why many famous saints like Gautam Buddha have said that killing animals are sin, have mercy on them.


But just like desert country as U.A.E. and its nearby countries, there is nothing but only sand. The water also gets very hard there too. Therefore, there is no food option other than Nonvege. If you live then you had mercy on others. That is way there is only one option to be alive in the desert. It was his compulsion to eat Nonvege as food. Slowly these became their custom and today we can see that Nonvege became a part of thiir common life.
Some people likes Nonvege for only taste, I do not talk to them.
We need some other life to maintain our life. There is life in plants also, and by eating them we also killes them like animals, but we have to do this. This is the process of life. But here the difference lies in the amount of sensitivity we are eating, the level of understanding in it, If we talks about Nonvegetarion, the cannibal also come to mind, but this can not be considered as food. The life that you kills to protect your life, there is a sensitivity to the fact that the life is enough good for you.
If you eat any high sensitive creature, then his life power will not fully protect your life, and you will be a victim of many diseases.  As example Hindus never eats beef (the cow flesh) because cow is also a sophisticated intelligence organism and they consider them as mother and considers as a holly animal.
So if we have to eat any life (Vege or Nonvege)to save our life, then it is fair that we have to be less cruel and choose less and less intelligent organism as our diet which is worthy of human dignity because the same food will make our life power best.
Thank You...


Comments

  1. Wonderful blog post. This is absolute magic from you! I have never seen a more wonderful post than this one. You've really made my day today with this. I hope you keep this up!
    Majboori meaning in english

    ReplyDelete
  2. Thanks for your Applaudable comment.
    Majboori means helplessness

    ReplyDelete

Post a Comment

MORE INTERESTING POSTS

''My Life in Corona Period''

''Life After Death''

एक सिद्ध योगी के अनंत ज्ञान का रहस्य।

मूलाधार चक्र की शक्ति।

सुरक्षित व भरोसेमंद सरकारी निवेश।