''Life After Death''

                  Life After Death

Hello Friends, Aaj hum death ke bad ki life ko janenge.

 Birth:

             Maa ke garbh me lagbhag 6 ya 7 months ke bad baby ki body chetna ke liye ready ho jati hai. Iske pahle wah shishu keval ek bina jan ki body hoti hai.
Hum sansar me wishwa shakti or wishwa chetna ke ek kan ke rup me aate hain. Usi kan me hamare purva janmon ke karmon ke anusar hamare jeevan ka sara map hota hai, aur hamari garbh bhi nirdharit hoti hai. hamari chetna ka kan apne purva nirdharit garbh me 6th or 7th month me pravesh kar jata hai. Is prakar ek naye jeevan ki utpatti hoti hai. shishu ke janm ke samay se 2 ya 3 years tak hame apne udgam sthan ki jankari hoti hai, hamari chetna us sthan per aati-jati rahti hai. Per jaise jaise is lok se shishu judne lagta hai waise waise maya ke washibhut hokar ham apni chetna ke udgam sthan ko bhulte jate hain. Aur hum is mrityulok ke prani ban jate hain. Hum apna jeevan jeete hain. Bachpan se Javani, Javani se Budhapa aur phir punah mrityu. Is prakar hum apna jeevan jee lete hain.

DEATH:




 Is dauran yadi hamne ek sanskarik jeevan jite hain aur apni gyanendriyon aur jananendriyon ko apne vash me kar ke uttam karm kiye hain to death ke bad hamari chetna hamari nabhi se alag hokar wapas apne udgam sthal me laut jati hai, ise sadgati kaha jata hai. Lekin agar hum laparwahi se bina apne man ko kabu keye aur bhog vilas ki jindagi jeete hain to hame is sthool sharir se bahut prem rahta hai, Mrityu ke bad jab chetna nabhi se alag ho jati hai to use apne udgam bindu ki koi jankari nahi hoti.
Wah apni usi mrit deh me punah ghusne ka prayas karti hai kintu asafal hoti hai aur sansar me bhatkati hui ek nimn darje ka adhyatmik jeev matra bankar rah jati hai. Jise hum bhut-pret ya aatma kahte hain. Ye wastav me wo chetnaye hoti hain jinki mrityu ke bad bhi inke karm ka dhancha itna strong hota hai ki inki mukti nahi hone deta.

Ye atrapt Atmaye hoti hain. Chunki apne pure life me inhone kabhi apni indriyon per vijay nahi payi isliye Mrityu ke bad inki chetna un indriya sukh ko punah bhogna chahti hain.Aur isliye is sansar ke nirbal sharir ke logon per apna kabja kar ke unki indriyon se wo sukh pane ki koshish karti hain. warshon bad jab dheere-dheere inke karm ka dhancha halka ho jata hai aur inki mukti ka samay aa jata hai to swatah hi ye apne udgam bindu ki or na chahte hue bhi khichi chali jati hain. Aur unke karmon ke anusar unko naya jeevan prapt ho jata hai.
Ye nahi kaha ja sakta ki isme lagne wala samay kitna hoga, kabhi kabhi pap karmon ka dhancha itna strong hota hai ki ye chetnaye hajaro-hajar salon tak isi lok me bhatakti rahti hain, lekin mukti tabhi hoti hai jab ye satya ko apnakar apne us yoni me hi satkarm karti hain, keval tabhi inki chetna ka dhancha halka hota hai aor we is lok se unche dhamon ko prapt kar pati hain.
Thankyou......

Comments

MORE INTERESTING POSTS

''My Life in Corona Period''

Say yes to "Vege" and forbid "Nonvege"

एक सिद्ध योगी के अनंत ज्ञान का रहस्य।

मूलाधार चक्र की शक्ति।

सुरक्षित व भरोसेमंद सरकारी निवेश।