Brahma,Vishnu,Mahesh me sabse shaktishali kaun?

   

 Brahma, Vishnu, Mahesh  me   sabse shaktishali kaun?

Sanatan dharm me teen mukhya devtaon ka varnan hai. Lord Brahma The Creator, Lord Vishnu The defender, and Lord Shiva The distroyer. Per inme se sabse bda aur shaktishali kaun hai? Inka aaps me kya relation hain.
Humare kai nam hote hain jaise gher ka nam alag aur school or office ka nam alag. Humko gher me office ka nam sunkar atpta lagta hai to office me gher ka nam sunkar. Office me hum kai aise karya nahi kar sakte jo hum gher me karte hain jaise simple kapdo me rahna, nange paav rahna bina makeup ke rahna etc. yahi bat gher per rahne per bhi apply hoti hai, jaise hum gher per har samay jute ya sandil nahi pahan sakte, gher me hum simple v aramdayak kapde pahnte hain, makeup ki jyada perwah nahi karte. Girlfriend se masti se bat kar sakte hain. To yahan aap dekh rahe hain ki ek simple person, jeevan ke kai aayamo ko ek sath jee rha hai. Wo office ya society me kuch aur hai aur apne gher ke chardiwaron ke under kuch aur. Aadami wahi per bhumikaye alag-alag. Dono charactor  apas me overlap nahi kar sakte. 
Isi tarah Aadi mahapurush bhi teen bhumikaon me swayam ko prakat karta hai. Aur in teeno bhumikaon me uska veshbhusha, uski soch, v uska kam alag-alag hote hain.
Brahma
Add caption
Jab shrishti ke nirmad ki bari aati hai to wahi aadi mahapurush swayam ko Brahma ke rup me prakat karta hai. Apne is rup me wo shrishti ka nirman karta hai is samay usme rajsi gudon ki adhikta hota hai. Wo swayam ko ek Raja ke rup me dekhta hai. Aur jaisa sab jante hain raja ka swabhav, vah hamesha sunder v akarshak vastuon per mohit ho jata hai. matlab apni hi banai hui sunder kriti se mugdh ho jata hai. Ye ek raja ka swabhav hai. Isiliye Brahmdev apni hi banayi hui suder putri ki sunderta per mohit ho gaye the. Kuch shashtron me unki isi putri ko Saraswati kaha gaya hai jo unki patni bhi hain. Isiliye Brahmdev jo aadimahapurush ke Rajsi rup v shrishti ke nirmata hai unki aradhna nahi hoti, Kyunki jab kisi dev ki aradhana hoti hai to vyakti me us dev ke gud bhi aane lagte hain. Aur koi nahi chahta ki koi apni hi putri se anuchit karya kare isliye unki upasana varjit hai.
Vishnu
Add caption
Shrishti ke banane ke bad Aadimahapurush swayam ko shrishtipalak Vishnu ke rup me prakat karta hai. Jo satva gun ke swami hain. Ve shrishti ka palan karte hain atah jeevon ke prati daya, karuna, prem aadi shubh gudon ki pradhanta unke is rup me hoti hai. Chhal, Bal, Kapat chahe jo karna pade shrishti ki raksha hi unka uttardayitva hai. Isliya shrishti ek palanhar v rakshak ke rup me lord Vishnu ki puja karti hai, jiske pratikriya swaroop jeev me lord Vishnu ke gun jaise daya, karuna, prem, raksha aadi subh gun ka uday hota hai.
Shiva
Add caption
Wahi shrishti ke ant ke liye aadimahapurush swayam ko Shiv ke rup me prakat karta hai, jinka karya shrishti ka vinash karna hai. Isiliye we moh-maya se dur lambi jataon ke sath, sharir per murde ki bhasm lapete huye v jangli khanpan jaise bhang, dhatura aadi ka sevan karte hai. Is rup me unme Tum gun ki pradhanata hoti hai. unka swabhav atyant krodhi hai. Ve apne is swaroop se shrishti ko lagatar yad dilate hain ki sab kuch chhadhik hai aur samay aane per ve use bhasm kar denge. In Teeno rupo me samanjasya baithane ke liye shiv sdaiv narayan ka dhyan karte hain, jisase we apne krodh per kabu pake narayan ki tarah shubh phal dene wale ban jate hain. isliye unki upasana bhi narayan ki tarah hoti hai to wahi narayan bhi shiv ka dhyan karte hain, taki we maya ke prabhav se bache rahen aur unhe bhi dhyan rahe ki sab kuch nashwar hai. Is prakar Aadimahapurush jo swayambhu hai khud ko teen alag-alag rupon me prakat karta hai. Ye teeno hi rup usi ke hain tabhi to shashtron me kaha gaya hai Brahma,Vishnu,Sadashiv janat aviveka, Pradvakshar ke madhye ye teeno eka. 
Is prakar ek chain si banati hai. fark sirf is bat ka hai ki hum start khan se karte hain. Yadi prarambh se chale to Brahma, Vishnu ke pita hain aur Vishnu, Shiv ke. ise hum ye bhi kah sakte hain ki Vishnu ke pita Brahma hain v Brahma hi shiv ke pitamah(dada) hain. Aur yadi hum ant ko lete hain to Brahma ke pita Shiv v Shiv ke pita Vishnu hain arthat Vishnu Brahma ke pitamah(dada)hain. To ye is bat per nirbhar karta hai ki ap shuruat khan se karte hain.
Shiva
Add caption
To jahan tak sabse bda v shaktishali ki bat hai to teeno to ek hi hain. Jaise ek bachche ka gher ka nam monu aur school ka nam gaurav hai to zahir si bat hai ki dono hi bhumika me wahi ladka hai bas protocol change ho gaya hai. Theek usi tarah swayambhu aadimahapurush bhi swam ko samay aane per in teen rupon me prakat karta hai jinke gun, niyam, kayde alag hain lekin antatah in teeno rupon me wahi to hai. Isliye teeno hi rup ek hain jo sammilit rup se Trimurti kahlate hain. Teeno saman shaktishali hain.

Comments

MORE INTERESTING POSTS

''My Life in Corona Period''

''Life After Death''

Say yes to "Vege" and forbid "Nonvege"

एक सिद्ध योगी के अनंत ज्ञान का रहस्य।

मूलाधार चक्र की शक्ति।

सुरक्षित व भरोसेमंद सरकारी निवेश।