"Schizophrenia" A living hell

Hello... sorry doston meri english jyada achchi nahi hai, isliye main hindi me hi likh rha hun. "Schizophrenia" ye ek aisi mansik sthiti hai jo aaj ke samay me ek aam bat hai. Doston main koi doctor nahi hun, Mai bhi aap logon ki tarah hi is bimari ka mariz hun.  isliye mujhe is bimari ke bare main wo sab pta hai jo doctors ko bhi nhi malum hoti hai kyunki mai is bimari ko jeeta hun.
Is Bat main koi dorai nahi ki is bimari se nijat pane ke liye aapko koi aisa doctor chahiye jo is bimari ko jiya ho. Use khud mahsus kiya ho. Phir wo chahe koi pchycologist ho ya phir koi neurosurgon. Aam taur par humko pta bhi nahi chalta ki kab hum is bimari ki chapet me aa jate hain, Us per sabse dukhad bat yah hoti hai ki hame samajhne wala koi nahi hota, na hi hamara parivar na dost yar aur na hi doctor. Is mansik sthiti me hum puri tarah tut jate hain. Kyunki hum bilkul akele hote hain aur ye paristhitiyan is mansik sthiti me aur khatarnak sabit hoti hain. Kabhi kabhi in subse ghabrakar hum nashe ki aur chale jate hain. Jaise drugs, alcohol etc. , us per hasne wali bat yah hai ki hamari sthiti ko sudharne ke liye hume doctor ke pass jane ki salah di jati hai, jiske pass degree to hoti hai per knowledge bilkul nahi hota. We bus antidepresent aur benjodyjepam ki tablet dekar hamare rog ko theek karte hain, isase kuch hone wala nahi hai ulte hi hum inke adict ho jate hain dusari ye dawayen bhi bahut hi mahengi aati hain, aur swasthya ke liye nuksan dayak alag hoti han. We log bade lucky hote hain jo kisi anubhavi doctor tak pahuch pate hain lekin chunki iska ilaz alopathic medicins me nahi hai isliye aise doctor ya to milte nahin hain ya phir wo is baat per jor hi nahi dalte.              Khair phir is samasya ka samadhan kya hai. Dekhiye doctor chahe kitna bhi achcha ho per wo bhagwan nhi hai.
Wah kewal apne anubhav ke aadhar per hi aapko samajh pata hai. Lekin aapko aapse behter aur koi nahi samajh sakta. Is rog ka karan jeevan ke kai pahloo ho sakte hain, inki koi nishchitata nahi. Ye bahut hi penchidi cheej hai, jise keval aur keval aap khud samajh sakte hain.Jindagi ka kaun sa daur bura tha kis bat ne aapko tanao me jane ko majboor kiya, aise ek karan hain ya aur bhi kai karano ne ise support kiya hai ye sab aap jante hain. Isliye is bimari ka kewal ek hi ilaz hai aapki majboot ichchashakti. Dekhiye jo hona tha wo to ho chuka aur jo aappe uska effect hona tha wo bhi ho gaya lekin abhi aap bimar hain. Isliye wapas se wo confidence pana, dubara khud ko majboot karna aap per hi nirbhar karta hai. Aap chahenge to hi koi theripy aapko phayada karegi, per shuruaat aap se hi hogi. Jo aapko hi karni padegi. Han aapko mehnat karni hogi jaise yoga, physical exercize, morning walk, sahi diet, meditation etc. Tabhi koi medicine aapki help kar sakati hai is mental situation se bahar aane me. Per yadi aapne prayas nahi kiya to kitna bhi rupya kharch kar lijiye aur kitne hi bade doctor ke pass chale jaiye app thik nahi ho payenge. Ye samasyayen maine jheli hain aur main isase bahar bhi aaya hun isliye maine keval apna anubhav aap sab ke sath share kiya hain. meri Ishwar se prarthana hai ki we sabko is jeevit nark se ladne ki shakti pradan kare. Thank You...

Comments

MORE INTERESTING POSTS

''My Life in Corona Period''

''Life After Death''

Say yes to "Vege" and forbid "Nonvege"

एक सिद्ध योगी के अनंत ज्ञान का रहस्य।

मूलाधार चक्र की शक्ति।

सुरक्षित व भरोसेमंद सरकारी निवेश।