Meditation Trick

Hello guys  Aaj mai aapko meditation ki sahi technic aur iske benifits ke bare me bataunga.Aapnensuna hoga ki meditation kahin bhi kabhi bhi kiya ja sakta hai aur isse hamare sare chakras aur thired eye active ho jate hainaur phir humare body me superpower aane lagti hai, bla bla bla.
Ye ek achcha topic ban gaya hai apne chanel ki views ko badhane ka.
Dekhiye agar aap meditation karna hi chahte hain to sabse pahle ye jaruri hai ki aisa aap kyun kar rahe hain. Agar aap superman banna chahte hain, Ya apni kundaliny jagana chahte hain to turant ruk jaiye. Ye prakriya bahut penchidi hai aur keval meditation se ise hasil nahi kiya ja sakta, Uske liye aapko diksha, sadhna, yog, pranayam karke apne sharir ko is layak banana hoga, ye baten hum bad me karenge, Yadi aap ek normal insan hain to aap meditation kaise karen aur ye aapke liye kitna benificial hoga, aaiye is bat per charcha karte hain. Humara brain 24 hours bina ruke kam karta rahta hai, Yhan tak ki jab hum sote hain to bhi, Hume dreams aate hain isme brain ki energy kharch hoti hai. Jab hum jagte hain to bhi humara brain bahut sare thaught se ghira rahta hai, Jaise koi pagal monkey bak bak kar rha ho. Kul milakar humara brain rest nahi kar pata, jiska dushparinam Tension, Depression, Anxiety, jagne ke bad bhi fresh feel na hona, panic attack etc. Mental problem hone lagti hain. Agar aap meditation karte hain to yakin maniye kuch hi dino me aapko chaukane wale result milenge, ab aapke brain ki bak bak shant hogi, aap ek nai positive energy aur self confidence se bhar jayenge, jo aapke daily life ko puri tarah badal ke rakh degi.
Ab bat hai meditation kaise karen.
To ye prakriya bilkul ek exercise hai. Jaise aap jim join karke exercise karte hain, aur dhire dhire aapki body shape me aane lagti hai, aapki mussels banane lagti hai, per isme mehnat aur time to lagta hi hai. Thik usi tarah Meditation work karta hai. Startin Aap 10 minutes se kar sakte hain, lekin kam hi sahi jab aap meditation karen to pure rules ke sath karen.
sabse pahle apne pairon ko fold karke kisi aasan per baith jayen. Iske bad Aankh band karke v apne hathon ko modkar apne paron me rakh le. Jab aap apne hath v pair modkar kisi aasan me bathten hin to aapki aura ka dayra badh jata hai. Ab thoughts ki chinta na karke keval apni sanso per dhyan dijiye, apki sanse hi aapki guru hain. Kuch bhi ho jaye apna dhyan apni sanso se na hatayen. Is samay hajaron thoughts apko khichenge aur aap bhi un thoughts me khichenge isase pareshan na hoiye, ye to hona hi hain, Waps lautiye aur apni sanso per focus kijiye. Ye ek ek exercice pura hua. In 10 minutes me yahi prakriya aapko bar bar repeat karni hai, Jaise jim me aap koi exercise bar bar repeat karte hain usi tarah. Yahi trich hai meditation ki, ab kuch din bad apne time ko badhaye jaise 10 se 15 minutes, Phir 15 se 20 munutes. Ye turant nahi hoga jab aap yah sunishchit kar len ki ab main kar sakta hun tab hi time badhaiye.
Jab hum normal life jeete hain ko kai sare kamuk vichar humare mind me aate hain jo ki ek natural bat hai. Isase hamari chetna jyadatar jananango me phaly hoti hai lekin jab hum meditation karte hain aur bar bar thoughts se wapas aakar apni sanso per dhyan dete hain to chetna hamare jananango se dhire dhire uper uthti hai aur hum apni kamukta per vijay pa lete hain. Jaise Jaise hum meditation me abhyast hote jate hain waise waise humari chetna uper uthati hai aur dhire dhire yah humare chakron ko activate karti hui humare thired eye(pineal glands) ko active karti hai. Lekin iska matlab ye bilkul nahi ki aapme superpower aa jayegi, ha ek positive energy aap ke under bhar jayegi jo aapke thought aur aapke confident level ko bdha degi. Phir aap apne ulte-sidhe thoughts se chutkara pa jayenge, aapka life jeene ka tarika badal jayega, aap me negative thoughts jaise krodh,kamukta, nirasha, lack of confidence ye kamiya dur ho jayengi aur aapme positive thoughts jaise saumyata, shanti,daya,khushi etc. ye gud badh jayenge aur aapka jeevan sukh se bhar jayega, ab agar aap prayer bhi karenge to usme bhi aapko anand aayega, chunki aapka man saf hai isliye aapki prayer bhi upperwale tak jaldi pahunchengi. Aur aapko kya chahiye. sab kuch us 30 mitutes ke meditation me aako hasil ho jayega. Jo sabse costly cheej hai "Hapiness" wo aapko milega aur sare rog-dosh swatah hi aapse dur ho jayenge.
Thankyou

Comments

MORE INTERESTING POSTS

''My Life in Corona Period''

''Life After Death''

Say yes to "Vege" and forbid "Nonvege"

एक सिद्ध योगी के अनंत ज्ञान का रहस्य।

मूलाधार चक्र की शक्ति।

सुरक्षित व भरोसेमंद सरकारी निवेश।