Bhagya aur Karm Ki Bhumika

Hum aksar logon ko bade bade pravachan dete sunte hain ki Karm karo, karm hi dharm hai, Karm hi Ishwar hai. Ya ek prachalit kahawat hai ki "Apka karm aapka bhagya badal sakta hai, Per Aapka bhagya aapka karm nirdharit nahi kar sakta". Aur ye bat bilkul sahi bhi hai. Ye purntah satya hai. Chalo is bat ko ek bar dimag me baitha lete hain. Lekin phir agle hi pal sochte hain ki ek banda khub mehnat kar rha hai phir bhi wah asfal hai, Wahin dusari taraf dusara banda thodi si mehnat karke saphal ho jata hai. Aisa kyon.
Lok bag amooman ise uska bhagya (Luck) kah dete hain. per ye to anyay hai. Koi agar mehnat karta hai to use uska phal kyun nahi mila. Ye bhagya kis chidiya ka nam hai bhai."Bhagya" ye shabd hamesha se hi vivad ka vishay rha hai. Iska varnan humare bade bujurg Ishwariya Kripa se mante hain. Aur aisa dekha bhi jata hai ki jiska bhagya achcha hota hai wah iska shreya Ishwar ko hi deta hai, Jaise- bhagwan ki kripa hai, Uska diya hai, Ye allah ka karam hai etc. Lekin kuch to hai jiski vyakhya samanya rup se nahi ki ja sakti. Lekin ye bhi satya hai, phir chahe jaise ho ishwariya kripa ya phir purvajanamon ka fal.
Ab humare pas do shabd hain- karma aur bhagya.
Jab sab ishwar ne hi fix karke diya hai bhagya ke rup me to hum karm kyun kare. Hume to kuch milega hi nahi, jo humare bhagya me hoga wo khud hi mil jayega, Pareshan hone ki kya jaroorat hai. Lekin tab karma ki mahima ghat jati hai. In dono me talmel kaise baithaya ja sakta hai, Ye to badi samsya hai.
Aiye ise ek example se samajhte hain- Man lijiye aapko ek 10 years ke bachche ke liye sweator bunana hai. Aapko uske sweator ke barabar oon de diya gaya, jab aap sweator bunana start karte hian to aapke pas kuch limitations hain, jaise sweator bachche ko fit aana chahiye, aap uski size se chedchad nahi kar sakte. Yahi limitations Bhagya kahlati hain. Jo hamare bas me nahi hai. humara bhagya aisa likha hai aur hume waisa hi karna hai. Lekin Yadi aap ke under talent hai to aap usi size ke sweator me sunder design bana sakte hain. Sweator ke oon ki quality decide kar sakte hain. Jisse usi size ke sweator ki cost and look dono change ho jate hain. Bas yahi Karm ki bhumika hai doston. Same size ka sweator footpath per bhi milta hai aur usi size ke sweator bade-bade molls me milte hain, per dono me quality aur price ka fark jamin aur aasman ka hota hai.
Doston heera bhi corbon hai aur koyla bhi corbon hai per same size me hone per bhi dono me fark hota hai.
Isliye Aapke bhagya ka size upperwale ne chahe jo fix kiya ho lekin apne hardwork se app apne kal ko behtar bna sakte hain. Aur agar safal nahi bhi hote hain to ye satisfaction aapse koi nahi chin sakta ki "Aapne kam se kam prayas to kiya".
Thankyou

Comments

MORE INTERESTING POSTS

''My Life in Corona Period''

''Life After Death''

Say yes to "Vege" and forbid "Nonvege"

एक सिद्ध योगी के अनंत ज्ञान का रहस्य।

मूलाधार चक्र की शक्ति।

सुरक्षित व भरोसेमंद सरकारी निवेश।