KHOJ KHUD KI

Aaj ke samay me har ek insan safal hona chahta hai. saflta se matlab career.Ek aisa career jisme keval kam chalau salari hi nhi balki ek aisa profession jisme paisa ke sath-sath savtantrata bhi ho. aur sath me ek luxirious life keval kam chalau jindagi hi nahi. agar hum bat kare unki jo bilkul shuru se shuruaat karte hain, to unke liye sabse aasan rasta hai naukari.
Par naukari chahe jo bhi ho vah hamesha aapko bandh ke rakhti hai.Ek nishchit salary, boss ki kichkich, apne roz ke din ka ek bda samay apni jee tod mehnat ko dena, jisse boss santusht rahe. In sab cen vah v.akti itna thak jata hai ki use aur kuch karne ka avsar hi nahi mil pata. Lekin thahariye, vo kahavat hai na ki yadi bhagwan sare raste band karta hai to ek raste chod deta hai, ab ye aappe depend karta hai ki aap use raste ko khoj pate ho ya nahi. vartman samay ke naujavano me ye ek gambhir samasya hai ki use raste ko kaise khoja jaye.han ye ek samsya hai isme koi doray nahi hai. Kintu agar hum apne dil se puche ki vah kya chahta hai to shayad is saval ka jawab hamen mil sakta hai. koi aisi special trick nhi hai jisse aapko yah pta chal jaye ki aapke under kya hunar hai, lekin lagatar prayas hi vah aankhe hain jo use khas kismat ke raste ko khoj sakti hain. Jaise kabhi-kabhi kisi ki hoby use alag bna deti hai aur wo aarthik kshetra me un hi chalang lga leta hai.Isiliye hamesha apni hoby ko follow karen.
apni hobies ka maja len kya pta kab kiski kismat khul jaye. Aaj jo duniya ke number one kahlate hain kahin na kahin unki safalta ka raj unki hoby me chupa hota hai. jra soche yadi bill gates ko computer me ruchi na hoti ya kisi karan vash usne apni computer ki hoby dba li hoti to mai is samay kisi aur safal vyakti ka nam le rha hota. kabhi-kabhi majbooriyan bhi insan ko bandhati hain kintu apni hobies ko enjoy jarur karna chahiye phir vo thode samay ke liye hi kyon na ho. Jaise meri ek hoby phaltu sochne ki hai jise mai is post ke jariye aapse share kar rha hun.kya pta meri kismat bhi..... kair mai to hamesha hi aap ki safalta ki kamna karunga, aapka shubhchintak.
Thank You......


Comments

MORE INTERESTING POSTS

''My Life in Corona Period''

''Life After Death''

Say yes to "Vege" and forbid "Nonvege"

एक सिद्ध योगी के अनंत ज्ञान का रहस्य।

मूलाधार चक्र की शक्ति।

सुरक्षित व भरोसेमंद सरकारी निवेश।