Why We Sleep?

Hello guys how are you. Aaj hum bat karenge ki hum sote kyu hain. Iska sahi jawab science ke pass bhi nahi hai, ye aaj tak ek rahasya hai.
Kya aisa ho sakta hai ki hum soye hi na, kitna achcha hota agar koi aisi techniq develop ho jati jisase hamen neend ki jarurat na padti to humare kam karne ki chamta do guni ho jati, humare pass 12 hours ki bajaye 24 hours jeene ke liye hota. Per aisa kalpanaon me hi sambhav hai, kyonki ye possible nahi hai. Kyun?
Neend ko lekar bahut sare scientific research hue hain, jisme person ko kai dino tak sone nahi diya gaya aur dekha gaya ki iska result kya hota hai, but iske result bahut hi bhayawah nikle. almost 3-4 dino tak jab kisi ko sone nahi diya gaya to log apni memory aur mental balance khone lage, dheere, dheere unka vyavhar bilkul paglon jaisa ho gaya we ek dusare per hamlawar ho gaye aur ek russian research me to vyakti khud ka hi flesh khane laga.
Ab aap samajh sakte hain ki neend hamare mental health ke liye kitni important hai. per aisa kyun?
Iske liye hume cosmic energy ko samajhna hoga.
COSMIC ENERGY- Jis prakar sabhi things gravitational force rakhti hain, usi prakar ye pura univers cosmic energy se aaps me juda hua hai. Ye ek bahut purana science hai, Isi fact per pyramids kam karte hain. Koi body jitni badi hoti hai use per utni jyada cosmic energy barasati hai. Is prakar yadi hum dekhe to prithvi ko sabse jyada cosmic energy milti hai. Kyunki wo hamare aas-paas ki sabse badi vastu hai. Dusare number per Pyramids, Mountains etc aate hain, Isiliye in per meditation karne se No Thought State(Nirmal Awastha) bahut jald prapt ho jati hai.
Neend aur Meditation ek dusare ke just opposite prakriya hai. Neend achet dhyan hai, aur Dhyan sachet Neend. Jab hum neend me hote hain to thodi der ki khamoshi aur achetana se thodi si cosmec energy hume milti hai, jiska use hum daily ke kam jaise- sochna, samajhna, Phaisale lena etc me karte hain, Phir punah sote hain aur ye cycle chalti rahti hai, lekin jab is energy ki kami hone lagti hai to hame different problems ka samna karna padta hai jaise dipression, anxiety , unhappiness and other mental desease. Isiliye in patients ko Achchi neend aur Meditation karne ki salah di jati hai. Neend me hume kuch amount me cosmic energy milti hai but Meditation me hume sufficient amount me ye energy milti hai.
Isiliye jo daily meditation karte hain unme ye sab bimariyan nahi payi jati hain. Meditation ki nirmal awastha(No thought state) per hum per cosmic energy ki bauchar hoti hai jo hamari nadiyon(नाडियो) ko shuddha karke hume rogmukt banati hai, dheere dheere ye energy jab hume sufficient amount se jayada milne lagti hai to hamare chakras ko active karte hue yah humare piniel gland ko active karke humara aakhiri chakra Brahmrandhra ko active karti hai, aur hame ek aam insan se Mahamanav banati hai lekin isme bahut mehnat lagti hai. Agar koi bhi Aam Aadami 7-8 hours ki neend lekar daily 30 minutes ka ek bar meditation karta hai to itna uske sukhi jeevan yapan ke liye sufficient hota hai. Aur meditation se neend ki quality bhi improov hoti hai.
Thank You.

Comments

MORE INTERESTING POSTS

''My Life in Corona Period''

''Life After Death''

Say yes to "Vege" and forbid "Nonvege"

एक सिद्ध योगी के अनंत ज्ञान का रहस्य।

मूलाधार चक्र की शक्ति।

सुरक्षित व भरोसेमंद सरकारी निवेश।