"Casteism" A cures for any religion

CASTEISM- Ye ek aisa jwalanshil vishay hai jiska vivaran karne se bade bade log ghabrate hain. Aaj aap chahe kisi bhi religion ko lelen, castism ka effect aapko her religion me dekhne ko jaroor milega. Jaise Muslims me shiya and sunni, christian me Katholic and Protestent, aur sabse jyada castism ka effect humare Hindu Dharm me dekhne ko milta hai. Tum Kayasth ho, Tum baniya ho, Tum Pandit ho, Tum Dalit ho, Tum OBC ho etc.

Ye sab kya hai aur ise banane ki jarurat kyu padi ye bat hi samajh me nahi aati. Agar bat Sanatan dharm ki karen to ye world ke sabse purane dharmon me shamil hai. Shuruat me sanatan dharm walon ko Arya(Great) kaha jata tha, jinme koi bhedbhav nahi tha, Pratyek vyakti apne kam ko karne ke liye swatantra tha. Phir shuruat Varn se hui. Varn ka matlab kisi special kam ko karne walon ke group se hota hai, jaise lohe ka kam karne wala lohar, Prashan v rajya ki raksha karne wala chatriya, niyamon v kanoono ka jankar purohit, vyapar karne wale vadik etc.
Lekin ab bhi isme koi bhedbhav nahi tha, ek hi parivar ke log kai varno jaise chatriya,vaishya, Lohar, ya charmkar hote the, Yah is bat per nirbhar karta tha ki kaun kis karya me kitna nipun hai. Lekin jaise jaise karya ka experience badha vaise vaise yah vanshanugat hota chala gaya. Yahin se Jati namak samaj ke param shatru shabd ki utpatti honi shuru ho gayi. Durbhagya se ab varn ne vanshanugat rup le liya aur alag-alag Jatiyon ki utpatti hui jo samaj ke alag-alag kamo ko karne me nipun the. Koi bhi kam Chota ya bda nahin hota, jab tak hum is bat ko dicide na karen ki ye kam aisa hai. Japan, Chaina aadi countries me jhan jatiwad ko samaj me koi sthan nahi diya gaya hai wahan government ke ek order per sab bina kisi bhedbhav ke apni jimmedari samajhte hue safai ka kam karte hain, jise kahin-kahin nichi drishti se dekha jata hai, per sochiye agar kahin safai na ho to us jagah ki halat kaisi hogi.
Mai aapse puchata hun ki kya kabhi barsat ye dekhti hai ki ye muslim ka ghar hai, ye hindu ka ghar hai, Ya ye pandit ka ghar hai , Ya phir ye thakur ka ghar hai. Nahi, wo her jagah saman rup se pani barasati hai. Kabhi suraj apni kirno me bhedbhav nahi karta, na kabhi hava karti hai, aur na kabhi Ishwar, allah, waheguru, ya jesus karte hain.

  • Jab ishwar aur prakriti ye bhedbhav nahi karti to hum kyun karte hain. sabse badi jati aur sabse bda dharm Humanity hai, isase bda koi dharm nahi. Ishwar bhi humanity ki raksha ke liye kabhi shrapit hue hain to kabhi shuli per chadha diye gaye hain.
Jatiwad kisi bhi dharm ke liye hamesha ek shrap ki bhati hi karya karta hai. Ye logon me Bhedbhav, Unch-Nich v Nafrat failata hai. Isliye Agar manav jati apna utthan chahti hai to use jati-pati ke jal se khud ko chudana hoga. Sabse pahle hum Insan hain aur sab kuch bad me aata hai, yadi hai bhi to, Aur phir bhagwan Shree Krishna ne kaha hai ki paramparayen samaj ko sucharu rup se chalane ke liye anivarya hoti hain lekin yadi ve purani ho jaye tatha samaj me irshya paida karne lagen to unme se bhi durgandh aane lagti hai, atah unhe samay ke sath badal dena chahiye. (Shree Krishna-Bhishma samvad, Mahabharat)
Thankyou.....

Comments

MORE INTERESTING POSTS

''My Life in Corona Period''

''Life After Death''

Say yes to "Vege" and forbid "Nonvege"

एक सिद्ध योगी के अनंत ज्ञान का रहस्य।

मूलाधार चक्र की शक्ति।

सुरक्षित व भरोसेमंद सरकारी निवेश।